Google kya hai ( और इसके रोचक तथ्य )



Namaskhar dosto apka ek bar phir se swagat hai hamare es naye topic par. dosto es topic me hum google ke bare me janege or hum apko google se jude huwe kuchh rochak tathya ke bare me bataiyege. jise janne ke bad aap google ko or v achchhe se janne lgege.

Dosto aaj internet ke naam se hi puri duniya me google ko hi jana jata hai. aaj duniya ka bacha bacha google ke naam se parichit hai. agar hame koi bhi jankari prapt karni ho to hum sabse pahle google ke pass hi jate hai or google bahut teji se uski jankari de deta hai. kuchh sal pahle internet ke bare me hame itni jankari nhi thi jitni ki ab hai. or tab google jaisi companya bhi nhi thi jo hame har tarah ki jankari de sake. lekin ab aisa nhi hai. google ke aane se ye sab badal chuka hai. google hume har language me jankari pradan kar sakta hai chahe wo english ho ya phir hindi.

History of Google ( गूगल का इतिहास )

Google ek american company hai jiski shuruwat 1996 me stanford university america se  Ph.D kar rahe do chhatro ne ki thi. unke naam Larry page and Sergey brin hai. google ki aarambhik sewa 19 august 2004 me suru ki gai. google aaj arbo kharbo ki company ban gai hai. suruwat me google ka name Makrab tha. iska naam google 1997 me rakha gaya. google ka arth hota hai 1 ke pechhe 100 zero.

Google se jude rochak tathy ( गूगल से जुड़े रोचक तथ्य )

1. Google duniya ki sabse badi company me se ek hai. google 1 sec me karib rs 1,30,900 kamata hai.

2. Google ke 40 desho me 70 se bhi jada office hai or ye apne aap me ek bahut badi uplabdhi hai. google me har hafte 20000 se bhi jada log job ke liye apply karte hai.

3. google ne pichhle 12 salo me 127 companyo ko kharida hai. to ab aap andaja laga sakte hai ki google kitni badi company hai.

4. Google me filhal 47000 karamchari kam karte hai. or ab tak google ke kai karamchari arabpati ban chuke hai. waise to google ki income koi nahi bata sakta hai magar google ki salana income karib $ 50 million hai.

5. Apko ye to pta hi hoga ki android operating system google ki hi den hai. par kya aap ye jante hai ki aaj har 5 me se 4 mobile android operating system me hi chalta hai.

6. Google ne apne head office me lagbhag 500 bakriyo ko ghas khane ke liye rakha hai. kyuki google apne daftar ke loon me ghas khatne wali machine ka upyog nhi karti hai. kyuki isse nikalne wale dhuwe or aawaj se waha kam karne wale karamchario ko kam karne me pareshani hoti hai.

7. google ki 95% se bhi jada kamai uske dwara prakashit vigyapano se aati hai. dosto apke palak jhapkate hi google ne rs 50000 kama liya hoga.

8. Google ne youtube ko 2006 me $ 1.65 billion me kharida tha or aaj youtube ko puri duniya me har mahine karib 6 hajar ghante tak dekha jata hai. google par har second me 60000 se bhi jada search kiye jate hai.

9. 2005 me google ne google maps or google earth jaisi application lunch kiya tha. Google me apne street view map ke liye 8046000 km sadak ke barabar photograph liye hai. isme aise features hai jo pal bhar me puri duniya ko nap sakte hai. wahi ab iski pahuch chand or mars tak bhi ho chuki hai.

10. Google ka pura search engine 100 million giga bytes ka hai. itna data hame apne pass save karane ke liye 1 tera bytes ki 1 lakh se bhi jada drives ki jarurat hogi. google ne apne android operating system ko A,B,C,D ke alphabets ke hisab se nam diya hai.

11. Google ki home page par 88 language ka use kiya jata hai. google har din apne processing ke liye 20 bita bytes information istamal karta hai. eske liye ise 1 million copmuters ki jarurat padti hai.

Thanks

Post a Comment

0 Comments